Hazrat Imam Mussa Kazim(as)
WILADAT IMAM MUSSA:
AP 7 Safar 128 hijjri ko makka-madina k darmayan "abwa" main nazil howay.
walid-majid : hazrat imam jaffar sadiq(as)
walida-majida : janab Hameeda khatoon
kuniyat : abul-hassan,abu-ibrahim,bu-ali,
laqab : kazim,sabar,ameen,zakia or bab-ul-khawaij(باب الحوائج)
imam ki imamat:
148 hijri main jab imam jaffar ki shaddat hoi toh us waqat imam mussa nay imamat k faraiz ki zimmedari sambhali.
158 hijri main mansoor k marnay k bad us ka beta mehdi khalifa bna or us nay 164 hijri main imam ko apnay sath hajj pay lay gya or waha ja kar baghdad main imam ko qaid kar diya. aik ssal k bad is ko apni ghlti ka ehsaas howa or us nay ima ko reha kar diya is ka bad is ka bhai khalifa bna or 1 saal 1 maah ki hukumat k bad haroon badshah bna jis main phir imam ko sakoon ka sans lena b naseeb na howa.
Tasneef imam Mussa:
Agarchay ima ko tasneef ka mukka nhi mila likin phir imam ki aik tasneef hai jo k "MASNAD E IMAM MUSSA KAZIM(AS)" hai
Riwayat imam:
imam say bohat c hadees marvi hain.jin main say do yeh hain
- larkay ka apne walidain k chehray ki traf dekhna ibadat hai
- jhoot or hiyanat k ilawa momin har addat qabool kar sakta hi.
Haroon ka hajj or imam ki giraftari:
jab haroon hajj karne gya toh logo nay is say imam ki chugli lgai k in k pass har traf say maal aa jata hai. or is doran jab haroon ki imam say mulakat hoi toh is nay imam say poch aap wo hi hain jin ki log chup chupa kar baiyat karte hain toh imam nay farmaya" hum dilo k imam hain or ap jismo k"
haroon nay masjid e nabvi main jaa logo pay apna fakhar barhanay k liye kha ka sal;am ho ap par rasool e khuda or mera chchazad bhai phir imam mussa nay kha" slam ho aap par aye mere padre buzrgwar" is baat pay Haroon ko bohat gussa ya or is nay Imam ko bagdad main qaid kar diya.
Ali bin yaqteen ko ulta wazu karnay ka hukam:
imam nay ali bin yaqteen ko hukam diya kay wo ulta wazu karay
Ali bin yaqteen imam ka hukam paa kar hairaan reh gaya
lakin phir uss nay socha imam kay hukam ki gaihrai(گہرائی) imam hi jan sakty hai
dosri taraf darbar main har roz ali bin yaqteen par ilzam lagtay thy kay yeh "shia" hai.
jab ilzam kafi zayada ho gay tu badshah nay kaha main khud ali bin yaqteen ko wazu karty dekhoon ga
jab badshah nay ja kay dekha tu ali ahly sunnat ki tarha wazu kar raha tha
tu badshah ko yaqeen ho gaya k yeh shia nahi hai
phir dobara imam nay ali bin yaqteen ko sidhaa wazu karny ka hukam diya
or phir is tarha ali bin yaqteen ki jan bach gai.
imam ke qaid khane mein ilm-e-gaib ka muzahira:
abu hanifa kay shagird imam say qaid khanay main milnay gay ta kay yeh daikhain kay imam ilm kay kitnay paani main hain?
abhi swaal _o_ jawab ka silsila shuru nahi howa tha kay aik khdim imam kay pass aya or bola agar ap ko kuch chahye tu mujah bata dain main kal lay aon ga
imam nay farmaya mujah kuch nahi chahye
jab wo chala gaya tu imam nay farmaya isay khabar nahi hai k yeh kal wafaat pa jay ga
in hazraat nay jab yeh sab suna tu bina sawaal_o_jawaab kay wapis a gay
or apas main kehny lagay yeh tu ilm_e_gaib janta hai
jab us khadim ka pata lagaya tu maloom howa k wo tu raat ko wafaat pa chuka hai
is say in hazraat ko buhat tajub howa
shaddat imam musa_e_kazim:
Haroon nay jab imam ko zehar diya tu imam nay zehar khatay hi farmaya "aaj mujhe zehar mila hai kal mera badan zarad ho jay ga or teesray roz mera badan saya ho jayega
or isi din main is duniya say rukhsat ho jaon ga" or aysa hi howa
or ap nay 25 rajab ko qaid khane main shaddat pai
wafat k baad aapko Baghdad k pull pay laa kr rakh diya gya or apki toheen ki gai. log Badshah say darty howay samnay na ay Magar aik grooh nay himat kar k imam ka janza waha sa uthaya or aik kafan diya jis par poora quran likha tha.imam k chahny walo k gireban imam k ghum main chaak thy.
0 Comments