امام حسین کا کربلا کا سفر


Aik lanti jis ka naam Yazid tha Nawasa e Rasool say zabardasti bayat lena chahta tha bayat mtlb yazid ki har jaiz or na-jaiz baat ko manna.
imam hussain(a.s) janaty thy k yeh galat hai. Yazid ki baat ko manany ka matlab tha k islam ka khatma. Yazid aik sharaabi shaks tha jo islam ka asooloon ko nahi manta tha lakin wo apny apko musalmaano ka ameer manta tha. imam hussain(a.s) ko islam bachana tha lakin agar imam hussain(a.s) madina rehty tu Yazid apko qatal karwa deta isliye imam hussain(a.s) nay apny nana rasool (s.a.w) ka sheher chor diya. 28 rajab ko imam hussain(a.s) roza e Rasool(s.a.w) pay gay or ansoo bharii ankoom say apnay nana(s.a.w) ko alvida kaha. mola ghazi abbas (a.s) har cheez kay nigraan thy. imam hussain(a.s) ka saraa khandaan imam hussain(a.s) kay sath tha. sirf bibi sughra (s.a) madina main thi kun kay wo bemaar thi.ahl e madina buhat udaas thy. jab pak bibioon kay janay ki baari i tu madina ki saari galiyaan saaf karwa di gai or kisi bhi namehram ko chat par janay ki ijazat na di.28 rajab ko imam hussain(a.s) madina choor kay mecca ki taraf rawana ho gay. jab imam hussain(a.s) mecca main thy tu kufa waloon nay buhat saray khat imam hussain(a.s) ko bhajay k imam hussain(a.s) a kar unki madad karain. is wajah say imam hussain(a.s) nay muslim bin aqeel ko kufa bhaje diya. zillhaj kay mahinay tak imam hussain(a.s) mecca main hi ruky.lakin imam hussain(a.s) nay hajj pura na kar saky. kun k imam hussain(a.s) ko pata lag chuka tha k Yazid mujah kabaa main qatal karwana chahta hai.imam hussain(a.s) kabaa main khoon kharaba nahi thy chahty kun k kabaa aman ki jagah hai.tu imam hussain(a.s) nay hajj ko umrahy main tabdeel kiya or kufa chalay gay.