! ظہور امام زمانہ ( علیہ ) اور ہماری تیاری


AYATULLAH khomeini(r) bayan karty hain k jab koi mehmaan kisi kay ghar ata hai tu ghar walay mezbaan honay ki haisiyat say apnay anay walay mehmaan kay welcome ki tayaari karty hai... mehmaan ko kya cheez pasand hai aur konsi cheezon ko napasand karta hai.... mezbaan in cheezon ka khayal rakhta hai...

humain iss taraf apnay zehan ko lejana chahiye... khas kar un logon ko jo imam  e zamana(a.s) say sach main muhabbat karty hain..... jin kay dil main yeh jazbaa hai khum apnay waqt k imam(ajtf) kay liye koi kaam karain.. jo yeh koshish karty hain k hum apni zindagi se apnay waqt k imam(atjf) ko raazi rakain.....

aisay logon ko chahiye kay ap apnay zindagi main khud ko mezbaan banain .. woo aanay wala kay jis ka aana tay hai.. jis ka aana yaqeeni hai... wo aanay walay  hamaray waqt kay imam(ajtf) hamaray mehmaan  hai... humain yeh dekhna hay k hamaray aanay walay mehmaan ko kya cheeez pasand hai... or kya cheez imam(ajtf) ko napasand hai.... 

imam(ajtf) jin cheezoon ko pasand karty hain hum  imam(ajtf) kay istaqbal kay liye wesi tayyariyan karain....imam(atjf) ko hamara taqwa pasand hai.... imam(ajtf) chahty hain kay maray chahnain wala namaz e shab ka paband ho... imam(atjf) chahtay hain k maray chahnaa walay mil julkar ittehaaad kay sath muttahid hokar zindagi guzare....

agar hum imam(ajtf) ki khidmat main sach main koi tohfaaa paish karna chahty hain.. to puri shiyaa qoum,imam(ajtf) kay is ehsaas ka ehsaas karain aur imam(ajtf) ko imam(ajtf) kay hawalay say, imam(ajtf) ki talimaat kay hawalay say aur imam(ajtf) kay farman kay hawalay say imam(ajtf) ko yaad karain....

ab humain yeh faisla karna hai kay woh aanay walay mehmaan jo hamaray waqt kay imam(ajtf)hain..Jo qainaat kay imam(ajtf) hain.. yeh purii shiyaa qoum ke jo imam(ajtf) ki wilayat kay,imam(atjf) ki muhabbat ka dum bherti hai... yeh purri shiya qoum ki zimmedari hai kay aanay walay mehmaan kay liye hum mezbaan hain... 

yeh humain dekhna hai kay hum imam(atjf) kay liye kaisi tayyariyaa kar rahay hain... imam(atjf) jab ayen day toh imam(atjf) ki khidmat main hum kya paish karain is ko hum ajj hi tay karain... khud say sawall karain  kay aanay wealay mehmaan kay istaqbaal kay liya hammari tayyarioyann kaisi hain..

 imam(atjf) hum say kya kya taqaza kar rahay hain...imam(atjf) say hum agar sawaal karai.. imam(atjf) aap hum say kya taqazaa karty hain... imam(atjf) hum apki khidmat main kya paish karain... imam(a.s) kaa aik ji jumlaa hay kay ALLAH nay jin cheezoon ko haraam qarar diya un cheezoon se khudko bachaa loo....

aur ALLAH nay jo wajib tum par qarar diya un cheezoon par amal karo... imam(atjf) ki muhabbat ka dum bharnay wale  aaj ghaibat e imam(atjf) main yeh promise  karain  kay aanay walay mehmaan ko hum apni taraf say kabhi koi ghum nahi denge.... apni taraf say kabhi bhi imam(atjf) ko ranjeeda nahi karain gay